Aisa Hoga Kalyug Lyrics – Narci

Aisa Hoga Kalyug Lyrics

Aisa Hoga Kalyug Lyrics. The Bhakti Song is Sung by Narci. And Music Lyrics is written by Narci. And Song Composed by Narci. Music Label by Narci.

Song:Aisa Hoga Kalyug
Singer:Narci
Lyrics:Narci
Music:Narci

Aisa Hoga Kalyug Lyrics – Narci

Kalyug mein manushya
dusron ke dukh mein apane sukh dhoondhega
apne parivaar ka pet paalne ke liye
dusron ki hatya karne mein bhi use koi glani,
koi paschatap nahi hoga

Dusron ke rakt mein sani hui roti
wo swyam bhi khayega
aur apni santaan ko bhi khilaayega

Apne bhi paryaae ho jayenge

Khoon ke rishte maile honge
sharam karega koi na
Paksh aasuree bhayega,
dharam padhega koi na
Karm ki baatein sab karenge
hathon mein le Geeta ko
Falon ki sabko chinta hogi,
karm karega koi na
Nyaay bikega khula aur
maun padenge nyaayaadheesh
Logon ke hi aage hogi
hatya fir to nyaay ki
Jisne na kasoor kiya
wo kaaraagaar mein royega
Jaan lega bhai saga
swyam apne bhai ki
Awaaz uthegi neki ki
na sab karenge chota man
Log hasenge dekh kisi ka
bebasi mein rota kshan
Dwapar se bhi neech
yahan honge sau Duryodhan
Cheer fatega naari ka to
sab banege shrotaagan
Neech bade uskaaeynge
ki tyaag dena tu dharm
Hari katha chor aur
Kali ke aake chhoo charan
Maa, bhabhi aur behanon ko
na chorenge wo bhediye
Bachon se bhi neech karenge
wo giroh mein kukarm
Aane waala kaala yug
hoga kuch aisa
Poojenge wo dev ek hi
jise kahenge paisa
Rishton ko ye khayega,
nyaay rakhega jeb mein
paise ka haan jaadu
kuch hoga praani aisa
Sharrdha jhoothi kabhi bhi
dil ki kaalik ko hai dhakti na
Dhongiyon ki jhoothi leela
kabhi dhong se thakti na
Mandiron ke aage ye
naachenge shrrngaar mein
Paane ko prasiddhi bas
dhong karenge bhakti ka

Arey ye to kuch bhi nahi hai
Kalyug mein manushya ki vichaardhaar
isse bhi giri hui hogi

Asthaayee sukhon ko paane hetu
sabhi havas ko bhaagenge
Saahas hoga jeene ka na,
kaya khud ki taangeinge
Nahi milenge Shravan Kumar,
maangeinge sab sampatti
Ram naam to lenge par
maryada bhi laanghenge
Madira, jua, sona, kaam
baithenge ye sar par hi
Veshyaalay hi karenge tab
sabke man ko aakarshit
Lahu lagega muh aisa ki
maanvta ko bhoolenge
Pashuon tak na simit honge
banege saare narabhakshee
Prem ki paribhasha bhi ye
denge yahan pe poori raund
De vachan ye premi ko
karenge saaron se sambhog
Kali kaal ke praani na
saat vachan nibhaayenge
Na nishtha hogi rishton mein,
chinta ka bas hoga dhong
Chhote se hi vivaran mein
lena tum anumaan laga
Asuron se bhi neech banege
shrishti ke insaan wahan
Prahlad ke jaise mila koi to
bhavsagar ke hoga paar
Baithega na koi warna
Narayan mein dhyan laga

Kalyug ki sabse badi vidambana ye hogi
ki manushya apne chhote se swarth ke liye
dusron ke bade bade hiton ko
bhent chadhane se sankoch nahi karega

Click Here To Aisa Hoga Kalyug Lyrics in Hindi:-

Video Song of Aisa Hoga Kalyug:

Related More Bhakti Song:
# Bam Bam Bhole Bhandari
Ram Teri Maya
Bhay Pragat Kripala
Mere Ramji
Charno Main Raghuvar Ke

Summary

Song: Aisa Hoga Kalyug
Singer: Narci
Lyrics: Narci
Music: Narci
Music Label: Narci

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *