Tum Bin Sajan Lyrics – The Family Star

Tum Bin Sajan Lyrics

Tum Bin Sajan Lyrics From Movie The Family Star. The Latest Song is Sung by Harjot Kaur. And Music Lyrics is written by Rashmi Virag. And Song Composed by S. Thaman. Music Label by T-Series.

Song:Tum Bin Sajan
Singer:Harjot Kaur
Lyrics:Rashmi Virag
Music:S. Thaman
Movie:The Family Star

Tum Bin Sajan Lyrics – The Family Star

Barkha jab jab angna barse
Pagal banke niklun ghar se
Jiya kahe piya ghar aaye
Do hanson ka joda jaise
Sadiyon se milne ko tarse
Jiya kahe raha nahi jaaye

Haari re preet se haari
Laaj ki maari
Jaise ek nadiya bechari
Sagar se milan ko hai tarse

Haari re naach utha man
Jhoom utha tan

Chahat ka barsa hai sawan
Sar se chunar mori sarke
Tum bin sajan main kahan jaaun
Tum hi keh do na
Tumsa main koyi kahan paaun
Baat samjho na

Doori jo tumse ho tadpe dil mera
Tum bhi to keh do na
Kya dil kare tera

Barkha jab jab angna barse
Pagal banke niklun ghar se
Jiya kahe piya ghar aaye

Do hanson ka joda jaise
Sadiyon se milne ko tarse
Jiya kahe raha nahi jaaye
Haari re preet se haari
Laaj ki maari
Jaise ek nadiya bechari
Sagar se milan ko hai tarse

Haari re naach utha man
Jhoom utha tan
Chahat ka barsa hai sawan
Sar se chunar mori sarke

Main teri parchhayi
Tu jahan main bhi peechhe aayi
Kyun zuban lagti hai shehnayi
Jab sunun baatein main teri

Main teri parchhayi
Tu jahan main bhi peechhe aayi
Kyun zuban lagti hai shehnayi
Jab sunun baatein main teri

Sagar se bhi zyada man mein
Lehrein haan lehrein
Sabke sab ek tum pe hi
Ja thehrein haan thehrein

Tu kinara mera tu sahara mera
Shaam hoon main
Shaam ka mere tu savera
Hai sada ke liye
Dhoop hoon main dhoop ka rang
Tu sunehra hai sada ke liye

Tum bin sajan main kahan jaaun
Tum hi keh do na
Tumsa main koyi kahan paaun
Baat samjho na

Barkha jab jab angna barse
Pagal banke niklun ghar se
Jiya kahe piya ghar aaye
Do hanson ka joda jaise
Sadiyon se milne ko tarse
Jiya kahe raha nahi jaaye

Haari re preet se haari
Laaj ki maari
Jaise ek nadiya bechari
Sagar se milan ko hai tarse

Haari re naach utha man
Jhoom utha tan
Chahat ka barsa hai sawan
Sar se chunar mori sarke

Click Here To Tum Bin Sajan Lyrics in Hindi:-

Video Song of Tum Bin Sajan:

More Related Latest Song:
# Kalyani Tera Hoon Main
Sukoon
Aawara
Bewafai Ki Kasam
Baras Jao

Summary

Song: Tum Bin Sajan
Singer: Harjot Kaur
Lyrics: Rashmi Virag
Music: Gopi Sundar
Music Label: T-Series

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *